Wo waqt

wo waqt hamne ab dekha hai teri aankhon mein,
jiske baare mein padha hai bahut kitabon mein,
wo sisakti saansen, wo aansoo,
jinki aawazein sunaai deti hain teri baaton mein,

pal bhar ko hum ruk hi jaate,
or sochte allah ki marzi ka manzar,
tere us kaanpte haath pe agar,
na aaya hota us vaishi kaatil ka khoon nazar.

wo waqt hamne ab dekha hai teri aankhon mein,
jiske baare mein padha hai bahut kitabon mein,

duniya ki nazrein kaise dekhengi use,
wo to sookh gaya, mit gaya, fanaah hogaya,
duniya to hai insaani haivaaniyat ke
har katl-e-aam, har zulm se bekhabar.

wo waqt hamne ab dekha hai teri aankhon mein,
jiske baare mein padha hai bahut kitabon mein,

No comments: