Guftagu: A dialogue between Love and Man

Chaahat:
bahut deewane aakar laute hain
khaalee haath yahaan se,
daulat aur khushiyon se aabaad aaye,
laute hain barbaad yahaan se.

Phir kyun tu chala aata hai,
baar baar yahaan lutne ko,
aagosh mein gham aayenge sirf,
aankhon mein chubhti yaadein pirone ko.

Maanav:
Marta hoon har pal,
us pinjre mein jise duniya kehte hain,
aata hoon yahaan,
do pal zindagi jeene ko.