Some people say my poetry is beautiful...
Just wanna say to them-
A piece of poetry can only be as beautiful as its inspiration.

Teri khamoshiyon ki aawaz sune zamaana sa ho gaya hai...
Tere saath beeta waqt ek fasana sa ho gaya hai...
Ab aa bhi ja kaafir...
hamein mile zamaana sa ho gaya hai.

gar jo wo guftagu karne ki tabiyat nahi rakhte...
to keh bhi to sakte the na...
kya jawaab denge hum khuda ko kayamat ke din...
ki hamari wajah se kisi ko jhooth bolna pada...

gar jo wo waqt ki panaah lekar gumshuda na ho jaate...
to shayad hamein apne sawaal ka jawaab dhoondne mein madad kar jaate...

mehfil hoti hai to muskura dete hain...
khushi jo hoti hai phir bheed mein gum hone ki...

shayad...

uski aankhon mein jo taare hain...
mere hi hain shayad...

uske jhooth mein chupa sach bhi toh...
mera hi hai shayad...

uski wo muskurahat bhi to mere liye hi hai...

uske muskurane se khush hota hai jo...
wo dil bhi to mera hi hai shayad...

uski payal ki aawaz sunke jo aankhen khulti hain...
wo meri hi to hain...
ye sab sochta hoon to aisa lagta hai...
mujhe us se pyaar hi to hai shayad...

You took my heart away...

One of the unoriginal posts. A beautiful song....

Staring at the moon so blue...
turning all my thoughts to you...
I was without hopes or dreams...
tried to dull an inner scream...
but you saw me through...

You took my heart away...
when my whole world was gray...
You gave me everything...
and a little bit more...
and when its cold at night...
and you sleep by my side...
you become the meaning of my life...

Living in a world so cold....
you are there to warm my soul...
You came to mend a broken heart...
You gave my life a brand new start...
and now... I'm in love

You took my heart away.... and now I'm in love

Holding your hand...
I won't fear tommorrow...
here where we stand...
we'll never be alone...

You took my heart away.... You become the meaning of my life

ek waqt tha...
koi saath tha...
ab wo to nahi...
uski yaad hai...
bas itni si baat hai...

Khamosh Baatein

musafir to bas rahon par nikal padte hain...
na waqt ka thikana, na haalat ka...
na manzil ka thikana, na zindagi ka

gar shikast-e- dil par muskurane ki aadat na hoti...
to unhe ab tak ye bata chuke hote.
nazron mein baatein bahut chupi hoti hain...
aur unki nazrein hain beimaan, jo unki bewafaai bayaan kar deti hai.

baaton mein unki itraana jhalakta hai...
baaton mein unki ithlaana jhalakta hai...
baaton baaton mein baat karne ki jo aadat hai unki...
unki har baat mein saamne wale par chha jane ka gumaan jhalakta hai...

unse milke un se ye poochne ki

Wo Muskurate bhi the...
Muskura ke sharma jaate bhi the...
hamaari aankhon mein dekhte bhi the...
dekhte dekhte nazrein jhuka jaate bhi the...

Akele baithe the hum...
ek dum kisi ke saath hone ka ehsaas hua...
door hatne ki koshish kari us se...
wo utna hi paas aaya...

kuch waqt guzra us se dosti ho gayee...
uski muskurahat se hamari khushi jud gayee...
uski aankhon ka gam hamein ched jaata tha...
uske maathe ki shikan hamare mathe par aa jaati thi...

kuch aur waqt guzra...
wo hamaari tanhayee ka hissa ban gaye...
wahi to ek the jiski maujoodgi se hamari tanhayee mein koi khalish na padti thi...
aisa lagta tha hum apne hi saath baithe hon...

unke saath baithte the...
to waqt ka koi hosh na rehta tha...
zindagi ka safar unhi kuch lamhon mein...
unke saath baithe baithe guzar jaye... yahi sochte the...

phir kya hua...
ki un se kuch door gaye...
na jaane kya hua...
ki wo hamein jaise bhool gaye...

ek aakanksha hai un se milne ki...
unse milke un se ye poochne ki

Munasib na samjha...

Aaj subah jab wahan gaye...
to unhe baithe dekha...
wo kaam mein masloof the...
to unhe chedna munasib na samjha...

break mein phir wahan gaye...
to phir unhe wahin baithe dekha...
unki masloofiyat ko dekh kar
unke paas jaana munasib na samjha...

phir chutti hui to wahan gaye...
wo waheen kaam mein uljhe baithe the...
unki ekagrata ko bhang karna...
munasib na samjha...

phir shaam ko wahan laute...
to wo wahin baithe the...
waise hi kaam mein dhyan tha...
hum ghar ko nikal pade...
unko chedna hamne munasib na samjha.

Ek dost se guftagu - 4

ME: ek zamaana tha...
unse gufatgu har roz hua karti thi...
ab to muddatein guzar gayeen...
unke deedar nahi hue

[00:59:36] M says: gaftgu ka nahin hai aaj kal alam ,saama kuch aisa hai ki humein khud se baat kiya bhi zamane ho gaye hain

[01:01:18] Me: kyun hain wo itne masloof...
kya phir mohabbat ne darwaza khatkhata diya hai?

[01:02:35] M says: furkate husn ka daraktoon ki chilman se sharmana.. na humein aaj naseeb hua hai na shayad is zamane mein hoga

[01:03:39] Me: ishq sirf husn se hi to nahi hota...

[01:04:17] M says: humein to husn ka hi naaasha hai

[01:05:18] Me: wo kaunsa husn he jisne ek shayar ko shayari se door kar rakha hai?
[01:09:00] Me: ?

[01:10:44] M says: husn toh hamesha hi shayaroon ki kamzori raha hai ..is shayar ko toh sher kya zamaane se bhi ddor kar diya is haseena ne :)

[01:12:27] Me: abhi to unke dil ke haal khulte nazar nahi aate...
phir kabhi baat karenge tujhse, jab kuch baat karne ki halat ho...
[01:12:32] Me: chal byr... tc

[01:13:31] M says: bye yar.. dil ka haal toh humesha se yahi raha hai ki aaj seeta kal neeta aur parsoon koi aur peeta

Ek dost se guftagu - 3

[30/08/2007 15:06:05] Me: jo karta hai upar wala karta hai... main to keval nimit matra hoon...
[30/08/2007 15:07:58] Me: :)

[30/08/2007 15:09:03] M says: :(

[30/08/2007 15:10:09] Me: wo jo ruthe se hain apne muqaddar se...
jaante nahi aage aasmaanon mein udna likha hai shayad...

[30/08/2007 15:10:43] M says: dushman na kare dost woh kaam kiya hai ..
[30/08/2007 15:10:58] M says: friday bhar ka gham humein enaam diya hai

[30/08/2007 15:10:58] Me: bas muskkura ke kuch kaaton par chalna hai...
uske baad phoolon ke raaston par chalna hai shayad...

[30/08/2007 15:12:07] M says: kaaton aur phoolan ka toh sath choli daman ka hai
[30/08/2007 15:12:22] M says: par yeh submission kambaqt kal kyun hai ?

[30/08/2007 15:14:22] Me: muskura bhi de ae insaan ki kuch dost to mile hain...
unke baare mein bhi kabhi soch jo kursiyon bar baithe akele hain...
gam hai to baatne wale bhi to hain...
unke baare mein bhi kabhi soch jo khushiyaan baantne ko taraste hain...
[30/08/2007 15:21:46] Me: :)

[30/08/2007 15:23:10] M says: khushiyan ho toh batenga woh dost.. gam hi gam ka alam hai aapke is jahan mein .. kya dost kya dushman.. sab ek hain is gulisthan mein

ek zamaana tha...
unse gufatgu har roz hua karti thi...
ab to muddatein guzar gayeen...
unke deedar nahi hue

zindagi ko to bhool hi gaye hain...

agar jo garam garam sewaiyaan hon...
saath mein namkeen samose bhi...

aur mausam baarish ka rukh lele...
saath mein hon kuch khaas dost bhi...

aisi hi din to zindagi ko rangeen banate hain...
waqt ke maamle mein tang zindagi mein kuch khushaali, kuch thehraav laate hain...

khalish bas is baat ki hai...
kabhi dost nahin hote...
kabhi mausam nahi hota...
kabhi khana nahin hota...
kabhi sab kuch hota hai par hum vahan nahi hota...

aaj eid hai...
umeed thi kuch to mahaul banega...
lekin log manzilon ki raah mein is kadar nikal pade hain...
zindagi ko to bhool hi gaye hain...

Zindagi ko to bhool hi gaye hain...

kuch log hanste-khelte, pyar karte duniya ko jeena sikha jaate hain...

bandishon mein lipti ye saari duniya hai...
kuch log muskurate in bandishon se khel jaate hain...
zindagi mein uljhi is duniya mein...
kuch log hanste-khelte, pyar karte duniya ko jeena sikha jaate hain...

kaam karte bhi hain...
kaam karvate bhi hain...
kaam karte karte khel jaate bhi hain...
kuch log hanste-khelte, pyar karte duniya ko jeena sikha jaate hain...

Bewaqt...

Har waqt unki ek tasveer in aankhon ke saamne rehti hai...

har waqt unki ek muskurahat khayalon mein chayee rehti hai...

har waqt unki yaad thoda aur tadpati hai...

shayad isiliye har waqt... hum waqt se bewaqt rehte hain...

Kyun?

manzilon se na jaane kyon itni mohabbat hai zamaane ko...

ki raaston ki kadar hi nahin karte...

shor-sharabe mein jina itna pasand kyun hai zamaane ko...

ki khamoshi ko samajh hi nahi paate...

behayayee itni kyun pasand hai is duniya ko...

ki hayya ka naam lene se sharmate hain...

har baat mein, har lafz mein...

har din mein, har pal mein...

har cheez mein, har khayal mein...

har talaab mein, har sagar mein...

har sikke mein, har note mein...

kisi ki shikan mein, kisi ki muskurahat mein...

kisi ki maujudgi mein, kisi ki yaad mein...

kisi ke hothon se nikli haar baat mein...

apna matlab kyun dhoonti hai duniya...

kya bas itni hi kimat hai kisi ke jazbaat mein?

zamaana hai...

zamaana hai...

zamaane mein log hain...

kuch hamein dekh muskurate hain...

kuch hamein dekh chid jaate hain...

koshish hamari bas itni rehti hai...

muskurahat hamare aas-paas har chehre par ho...

kisi ke mathey ki shikan jo hamein dekh mitti hai...

ek ajab si khushi hamein milti hai...

na jane phir bhi kyun log...

hamse naaraaz rehte hain...

muskurate bhi hon wo to...

hamein dekh mathey par shikan aa jaati hai...

khair...

zamaana hai...

zamane mein log hain...

kush hamein dekh muskurate hain...

kuch hamein dekh chid jaate hain...

gumshuda ho gaye hain jabse zindagi ka tassavur hua hai...

gumshuda ho gaye hain jabse unse bekhabar hue hain...

gumshuda ho gaye hain jabse yaadon mein khoye hue hain...

gamshuda ho gaye hain jabse wo gumshuda hue hain...

gar jo lafzon ki kami padgayi ho to ye bata dein...
har cheez zubaan se kehni zaroori nahin hoti...
khamoshi bhi bahut kuch kehti hai...

Ek dost se guftagu 2

me: heloz...
us samay to kuch baat jami nahi thi....
00:11 M: haan yar
me: ***
M: woh pehla nasha kya??
me: ***
M: ok.. sahi naam hai
00:12
abe tune koi shetr nahin sunaya.. janae aali sama bhi tha aur mahoaol bhi
00:14 me: sama bhi tha... mahaul bhi tha...
sun ne wale bhi the... sunane wale bhi the...
kami thi ek chingaari ki jo aag ko bhadka sake...
shayari nahi thi kyunki khayalon mein wo na the...

M: hahahaha
me: wo pehla nasha... jo uske hothon se nikle lafzon mein tha...
00:15 wo pehla nasha... jo uski jhukti palkon ke upar uthne mein tha...
M: nasha aankon mein nahin tha...un aakon mein tha jo unki gherayion mein kho gaya
00:16 me: wo pehla nasha ...jo uski hayaee mein tha...
wo pehla nasha jo uski chaal ki behayaee mein tha...
wo pehla nasha jo us se milne mein tha...
M: ye kya hai bhaio

me: wo pehla nasha jo us se bichadne mein tha...
00:17 M: bichadne mein.. abhi kahan bichade
me: zamaane guzar gaye zindagi ke deedar nahi hue...
00:18 duniya kehti hai zinda hain hum... par kya zindagi hai bina unse mile...
00:19 M: zindagi unke liye besimal kar do... apni hi nahin apnon ki bhi tahanyion unlke liye faana kar do
00:21 me: wo hamaari tanhayee se juda thodi hai...
tabhi to kambakht tanhayee bhi unki yaad dilaati hai...

00:23 M: tanahayee aur humara toh choli daman ka saath hai.. tum kya jano akela kise kehte hain.. atkaliyaan khelti hain akeli rateen humare sathh
00:24 me: humne kab kaha hum akele hain...
ek hum hai aur ek unki yaad saath hai...

00:25 M: hahahahah sahi hai
00:26 me: :)
00:30 gar jo gamon ko bayaan na karein dil mein chibhte hain...
gar jo gamon ko bayaan karein duniya waale hanste hain...
sochte hain karein bhi to kya karein...
zindagi ne jeene ki aadat daldi hai... jeena hai uske liye... marein bhi to kaise marein...

00:32 M: jeena aur marna toh humne kabh ka unke hawale kar diya ...ab toh apna shayad hi kuch hai..tanhayi bhi ab parayi lagti hai.. kambaqt neend ab fanaa ho gayi hai
00:33 me: kaun hai wo ye to batao?
00:34 M: zamane bhar mein yahi halla hai.. unhe bhi nahin maloom ki unke naam ka halla hai
00:35 me: zamaana yahan hai ki ghar mein hai?
00:37 M: ghar zamana aur hostel kya cheez hai.. is dil pucho woh kahan rehten hai,har shak ki dali mein unki khusbu basti hai
00:38 me: ***
M: kal chuttii hai bhai
bhul gaye ki unke ishq ne bhula diya

me: ***
00:40
M: ***
00:41 me: ***
M: hmmm
me: unke ishq ko bhoolne ke liye...
khud ko bhoolne ke liye...
karte hain jo kuch karte hain...
zindagi se door hatne ke liye...
chal bye :)
ek wo hain jo muskurate hain hamare dard par...
ek aur hai jo muskurate nahi kisi baat par...
ek aur bhi hai jo muskurate hain har baat par...
ek aap ho jo muskurate ho muskurahat par...

Ek dost se guftagu

me: boliye janab kya karna chahte hain....
18:42 M: yehi samaj nahin aata.. bas yehi iltaja hai khuda se.. raste se andere to hate de
18:44 me: gar rasta nazar aa gaya to chalne ka maza khatam ho jaega...
hum to ilteja karte hain khuda se andhere ko thoda aur ghana kar de...
shayad isi bahane kahin zindagi se takra jayein...

18:45 M: kya baat hai..
me: sab mausam ka kamaal hai...
18:46 unki yaad saath le aaya hai kambakht...
M: zindagi ke yehi andhere toh mausume jahan ko itna khushmizaaaz banate hain..
me: ***

18:47 M: ***... khuda ko yaad dila diya ki is band mein bhi dam hai ??
18:49 me: jiske hone par hamein shaq ho...
usko kuch dikhaane ko apni neend kyun kharab karein...
bahut dino se wo insaan jo bahut masluf chal raha hai...
uski koi khabar nahi hai...
dua ye hai ki zindagi se bekhabar wo insaan jahan bhi hai...
muskura raha hai... khush hai...
bahut dino se kisi se baat karne ka bahut dil kar raha hai...
bahut dino se wo koi bahut masloof chal raha hai...
unhone apna haale dil bayaaan kuch is kadar kiya...
hum sun hi nahi sake woh kya keh rahe the,
unke lafzon ne dil ke taar ko kuch ched is kadar diya...
woh jo muskurate hai hamara haale dil sunke...
woh nahi jaante darde dil ka nasha kya hota hai!!!

Zaroorat-e-blog

Aakhir is blog ki paedaish ka khayal aaya kahan se...
kya us bechaini se jo dil par chaayee thi dil ki baatein bayaan karne ko...
yaan us betaabi se jo cha rahee thi kyunki zubaan sil si gayee thi...
sil si gayee thi is pathraye se dilon ki duniya ko dekh kar...

yaan kisi aur hi wajah se...
keh nahin sakte...
bas itna jaante hain hum yahan hain...
guftagu kar rahein hain... kuch khud se, kuch jaane-pehchane logon se aur kuch ajnabiyon se...

bas baat karne ka dil kar raha tha... to ye rahin...
dil ki baatein...