kabhi kehte hain unhone jaan leli meri,
poocho unse wo kaun hai to kehte hain zindaa hoon main abhi.

Shayad aise hi chalte jaana hai

zindagi jeene ka jitna man hai,
utna hi use chodne ka

muskurane ka jitna man hai,
utna hi rone ka

zamaane se jitne khafa hain hum,
utna hi use chahte bhi hain

jitna thaamne ki koshish karte hain khud ko,
utna hi chalte jaate bhi hain

zamaane pehle kuch hua tha,
hote gaya tha

kuch aisa rukh liya zindagi ne,
ki zindagi se hi door kar diya

jeetne mein maza aata tha,
ab haarne mein aata hai

mann manchala sa hota hai,
phir sudhar bhi jaata hai

bas chalte jaa rahe hain,
dariya ke bahav mein,
shayad aise hi chalte jana hai :)

MoKu: Saahil ke sukun se hamein inkaar nahi,magar toofano se kashti nikaalne ka mazaa hi aur hai!!

Me: saahil ka sukoon kuch waqt ko hai...
kyunki jise wo saahil samajh rahe hain....
darasal wo bas ek bada jahaaz hai...
to chinta na kar e insaan, maza zindagi mein abhi aur bahut hai...

gamon mein muskura ke samajhte hain wo...
ki aankhen unki koi padh nahi raha...
unhe kya pata ki unka raaz ab raaz nahi raha...
kyunki koi baitha unki aakhon mein jhaank raha hai

(in response to:

Baat dil ki bata dena aadat hai meri,
Bus yun hi muskra dena aadat hai meri,
Log samajtey hai mujhe koi gum nahi,
Kyunki har gum me muskra dena aadat hai meri .)