Ek dost se guftagu... 5

I: thi

aur ab

aur aage

me: muhabbat ke baad to tanhayee hi hoti hai

00:54 i: aagaz ka anjaam na jaan paaye toh farmaan jaari kar diya, wah

00:55 arey mohabbat ke baad toh tanhai ko bhi hamse shikayat hoti hai

00:58 me: mohabbet mein tanhayee ka bhi ehsaas nahi hota...
mohabbat ke baad bheed mein bhi tanhayee ka ehsaas hota hai

01:01 i: tumne gul ko gul kaha, hamne gul ko gulab kaha, par hum phir bhi naa samajh paaye ki gulab ko gul kaha ya gul ko gulab kaha

01:03 yahi to lakeer hai mohabbat aur tanhai k beech ki. ki jo mohabbat hai use tanhayi kaha ya tu tanhayi mili use mohabbat kaha.

01:04 me: mohabbat thi isiliye pehle tanhayee na thi...
mohabbat hai isiliye ab tanhayee hai

01:06 i: theek hai.....

01:07 maan gaya

aage kya hua??

me: kuch nahi bas... kuch hum keh na paaye... kuch humne kaha jo wo samajh na paaye

01:08 i: toh isey anjaam samjhe, yah abhi to bas aagaz hua hai

01:09 me: anjaam hi hai... haan zindagi ne aagaaz mein badal diya to baat alag hai

01:11 i: abhi bhi kya hua hai

mohabbat ne toh baar baar katleaam kiya hai, ek aashiq ka katl phir itna aam kaise ho gaya

01:12 me: apni zindagi ka katl kar dein kya... aashiqui hai, deewangi bhi hai... par hum ab bhi hosh mein hain

01:15 i: jo sar pe na chade woh deewangi hi kya, jo hosh na bhula de woh aashiqi hi kya. ya to mohabbat se tauba kar lo ya phir mohabbat ko mauhabbat ka naam na do.

01:16 alright chill

me: :)