Your memories are better than you are,
They chose to stay with me
- misskeen rooh
Thoda thoda meetha meetha,
Zahar wo pee chala tha.
Zindagi se thaka thaka sa,
Nashe mein ji chala tha.
- misskeen rooh
Apne gamon se tera tarruf to kara doon,
Dar ye lagta hai, tu mera agla gum na ban jaaye.
- misskeen rooh
Meri mazaar par milenge aasshiq hazaar tujhe,
Unki kasam tere alaava kisi se kabhi maine aashiqui na ki
- misskeen rooh
Marne ke Baad shayad qismat Khul jaaye,
Jaane ke Baad unhein yaad hum aayein
- misskeen rooh
Ye maajra majboori ka hai,
Dil se Dil ki doori ka hai,
Wo bechara na jaane apna paraaya,
Use to lagta hai tu apna saaya,
- misskeen rooh
Ye na socha tha maine kabhi,
ki ik din tu muskura ke kehdegi,
main tera nahi.
Wo jo khwaab hamaara tha,
ik din mera ho jayega,
aur kaanton ki tarah aaankhon ko dard pahunchayega,
ye na socha tha maine kabhi.
Teri muskan se uthne wali wo tapish,
ik din jala degi mujhe,
teri har adaa par behekti wo kaliyaan,
ik din murjha jaayengi.
yun to main chal bhi deta,
tere aansuon se bekhabar.
par dhadkanon ki bewafai thi aisi,
tham gayeen us waqt waheen.
gira tha mein, batlaya gaya hai mujhe,
utha tha mein, daras hue the allah ke,
in nasamjhon ko kaise samjhayen
khel hai zubaani,
mohabbat ko bayaan karne ka,
bewafa zubaan thi meri,
haan ko na keh diya.
yun to main chal bhi deta,
tere aansuon se bekhabar.
wo waqt hamne ab dekha hai teri aankhon mein,
jiske baare mein padha hai bahut kitabon mein,
wo sisakti saansen, wo aansoo,
jinki aawazein sunaai deti hain teri baaton mein,
pal bhar ko hum ruk hi jaate,
or sochte allah ki marzi ka manzar,
tere us kaanpte haath pe agar,
na aaya hota us vaishi kaatil ka khoon nazar.
wo waqt hamne ab dekha hai teri aankhon mein,
jiske baare mein padha hai bahut kitabon mein,
duniya ki nazrein kaise dekhengi use,
wo to sookh gaya, mit gaya, fanaah hogaya,
duniya to hai insaani haivaaniyat ke
har katl-e-aam, har zulm se bekhabar.
wo waqt hamne ab dekha hai teri aankhon mein,
jiske baare mein padha hai bahut kitabon mein,
ye hua kya hum kaise batayein,
ye hua kyun hum samajh na paye.
har baat teri zubaan se guzarti...
Uljhanon ne suljhaya hai hamein,
Zindagi ne mara to maut ne jagaya hai hamein
- misskeen rooh