unse milke un se ye poochne ki

Wo Muskurate bhi the...
Muskura ke sharma jaate bhi the...
hamaari aankhon mein dekhte bhi the...
dekhte dekhte nazrein jhuka jaate bhi the...

Akele baithe the hum...
ek dum kisi ke saath hone ka ehsaas hua...
door hatne ki koshish kari us se...
wo utna hi paas aaya...

kuch waqt guzra us se dosti ho gayee...
uski muskurahat se hamari khushi jud gayee...
uski aankhon ka gam hamein ched jaata tha...
uske maathe ki shikan hamare mathe par aa jaati thi...

kuch aur waqt guzra...
wo hamaari tanhayee ka hissa ban gaye...
wahi to ek the jiski maujoodgi se hamari tanhayee mein koi khalish na padti thi...
aisa lagta tha hum apne hi saath baithe hon...

unke saath baithte the...
to waqt ka koi hosh na rehta tha...
zindagi ka safar unhi kuch lamhon mein...
unke saath baithe baithe guzar jaye... yahi sochte the...

phir kya hua...
ki un se kuch door gaye...
na jaane kya hua...
ki wo hamein jaise bhool gaye...

ek aakanksha hai un se milne ki...
unse milke un se ye poochne ki

No comments: