bade bade toofanon ko yoon hi seh jaati hai,

aur chotti chotti baaton par chalak jaane vaali pyaali.

akhiyon ki zubaan hai niraali!

kaafi kuch keh jaati hai, bin kuch kahe kabhi,

Aur kabhi sab kuch keh kar bhi kuch na kehne waali,

akhiyon ki zubaan hai niraali!

No comments: