Sochte Hain...

Agar hamne na tujhe dekha hota,
to kya hota, sochte hain.

Agar tune na hamein dekha hota,
to kya hota, sochte hain.

Agar tu na muskuraya hota,
to kya hota, sochte hain.

Agar tune na palkon ko jhukaya hota,
to kya hota, sochte hain.

Agar wo Gulaab hamare hathon se tere hathon mein na aaya hota
to kya hota, sochte hain.

Agar tune mera haath na thaama hota
to kya hota, sochte hain.

Agar tu mera humkadam na bana hota
to kya hota, sochte hain.

Agar tu na rootha hota,
to kya hota, sochte hain.

Agar wo kadam na behka hota,
to kya hota, sochte hain.

Agar maine tujhe manaya hota,
to kya hota, sochte hain.

Ik ranjish ne sukoon ko ghayal kiya,
Agar wo ranjish na hoti,
to kya hota, sochte hain.

No comments: