Lafz har baat ko keh jaayen zaroori nahi hai,
baat lafzon ko bayaan kar jaaye ye bhi zaroori nahi hai,
aks hai, mehsoos hota hai, bahut hai.

maut ko manaane ki koshish mein,
aksar zindagi bhi rooth jaati hai.

-------------------------------------

In trying to convince death,
Often life also turns its face away.

Ek aur khwaab...

Kal phir mere khwab mein aaya tu,
kuch muskurahat ki kami thi,
kuch chahat ki kami thi.

Mujhse aankhen chupa ke chal to diya tha,
par aankhon ke milne pe aa bhi gaya tha

Bulaane pe paas aaya bhi,
par hamesha ki tarah muskuraya nahi.

Sochta hoon kabhi,
teri tasveer mein koi aur to nahin.
Par phir un aankhon ki gehrayee dikh jaati hai,
Jinki palkon par boonden giri thi kayeen.

Us Bus ki us bheed mein,
mujhse bachne ki koshish ki tune.
Na bach paya to paas aa gaya,
par khushi nahi thi, yeh mujhe
teri aankhen samjha gayeen.

Khafa hai mujhse,
Jo naaraaz hai tu, toh keh bhi de
hamesha toh kaha hai tune.
Khud se bhi koi shikwah rakhta hai kya?

Tune baaten to kareen,
par unme tera dil na tha.
Aisa laga mujhe khud se door karne ki koshish si thi.

Jaate waqt meri aankhon mein dekh
alvida keh to gaya
par unme dubaara milne ki khwaaish na thi

kya sirf isiliye aaya tha tu,
ki main tanha tha?
yaan isiliye, ki tu bhi
tanha tha?

Ab toh teri talab badti jaa rahi hai,
aur teri kami khalti ja rahi hai,
yaadon mein teri jee raha hoon,
aise hi zindagi guzarti ja rahi hai.