"
Kya karun main
Ki mera vatan badal gaya?
Aman ka chaman tha kabhi,
Khooni raakh mein dhal gaya.
Dilon mein nafratein hain,
Zubaan pe upar wale ka naam.
Kaisa zamana hai ye,
Yaan Allah jaane yaan Ram!
Kabhi socha hai inhone
Ki jise mara hai
Basta tha usi mein Allah,
Basta tha usi mein Ram!
"
- misskeen rooh