nazdeekiyaan hon itni ki faaslon ka ehsaas na ho,
jo yaad karein unhe to sang hone ka ehsaas sa ho...
nazdeekiyaan hon itni ki faaslon ka ehsaas na ho,
jo yaad karein unhe to sang hone ka ehsaas sa ho...
Vaade karne ki zarurat unhein hoti hai jinki zaban kachi hoti hai
Promises are made by people whose word has little value.
Lafzon se khelne ka shaunk purana hai,
Maayinon mein kho jaane ka anjam purana hai
Muskurahatein is Umar mein bhi salaamat hain,
Ye bhi kya kisi chamatkaar se kam hai.
Garmi mein jis dhoop se bhaagte hain log,
Sardi mein use talaashate hain log.
Kaisa yeh Ishq Misskeen,
Pehle maarke phir pachtaate hain log.
It is a little true,
That I'm through
With this nonsense called Life
Where we strive
To be like others
Those bloody fuckers
- misskeen rooh
Hain tere falsafe kuch ajab se,
Kar jaate hain Dil pe Gazab ye.
- misskeen rooh
If it weren't for you, I wouldn't have been me.
I was in a cocoon, you changed my destiny.
- misskeen rooh
Agar tum mera pyaar bardasht nahi kar sakti to door raho mujhse.
Kyunki agar tum mera pyaar bardasht nahi karogi to tumhein mera gussa bardasht karna padega.
Aur tum par gussa to main khud bhi bardasht nahi kar sakta.
- misskeen rooh
Thoda thoda meetha meetha,
Zahar wo pee chala tha.
Zindagi se thaka thaka sa,
Nashe mein ji chala tha.
- misskeen rooh
Apne gamon se tera tarruf to kara doon,
Dar ye lagta hai, tu mera agla gum na ban jaaye.
- misskeen rooh
Meri mazaar par milenge aasshiq hazaar tujhe,
Unki kasam tere alaava kisi se kabhi maine aashiqui na ki
- misskeen rooh
Marne ke Baad shayad qismat Khul jaaye,
Jaane ke Baad unhein yaad hum aayein
- misskeen rooh
Ye maajra majboori ka hai,
Dil se Dil ki doori ka hai,
Wo bechara na jaane apna paraaya,
Use to lagta hai tu apna saaya,
- misskeen rooh
Ye na socha tha maine kabhi,
ki ik din tu muskura ke kehdegi,
main tera nahi.
Wo jo khwaab hamaara tha,
ik din mera ho jayega,
aur kaanton ki tarah aaankhon ko dard pahunchayega,
ye na socha tha maine kabhi.
Teri muskan se uthne wali wo tapish,
ik din jala degi mujhe,
teri har adaa par behekti wo kaliyaan,
ik din murjha jaayengi.
yun to main chal bhi deta,
tere aansuon se bekhabar.
par dhadkanon ki bewafai thi aisi,
tham gayeen us waqt waheen.
gira tha mein, batlaya gaya hai mujhe,
utha tha mein, daras hue the allah ke,
in nasamjhon ko kaise samjhayen
khel hai zubaani,
mohabbat ko bayaan karne ka,
bewafa zubaan thi meri,
haan ko na keh diya.
yun to main chal bhi deta,
tere aansuon se bekhabar.
wo waqt hamne ab dekha hai teri aankhon mein,
jiske baare mein padha hai bahut kitabon mein,
wo sisakti saansen, wo aansoo,
jinki aawazein sunaai deti hain teri baaton mein,
pal bhar ko hum ruk hi jaate,
or sochte allah ki marzi ka manzar,
tere us kaanpte haath pe agar,
na aaya hota us vaishi kaatil ka khoon nazar.
wo waqt hamne ab dekha hai teri aankhon mein,
jiske baare mein padha hai bahut kitabon mein,
duniya ki nazrein kaise dekhengi use,
wo to sookh gaya, mit gaya, fanaah hogaya,
duniya to hai insaani haivaaniyat ke
har katl-e-aam, har zulm se bekhabar.
wo waqt hamne ab dekha hai teri aankhon mein,
jiske baare mein padha hai bahut kitabon mein,
ye hua kya hum kaise batayein,
ye hua kyun hum samajh na paye.
har baat teri zubaan se guzarti...
Uljhanon ne suljhaya hai hamein,
Zindagi ne mara to maut ne jagaya hai hamein
- misskeen rooh