"ek peg tune kya lagaya,
haale din zubaan pe aa gaya,
jo karne ki neeyat thi,
zamaane ko keh gaya!"
If you want to know how much I love you, just close your eyes and feel my heart :)

Incomplete Expressions 1

Ye na socha tha maine kabhi,
ki ik din tu muskura ke kehdegi,
main tera nahi.

Wo jo khwaab hamaara tha,
ik din mera ho jayega,
aur kaanton ki tarah aaankhon ko dard pahunchayega,
ye na socha tha maine kabhi.

Teri muskan se uthne wali wo tapish,
ik din jala degi mujhe,
teri har adaa par behekti wo kaliyaan,
ik din murjha jaayengi.

Imprisoned in Freedom

Look beyond the mellifluous words,
at the freedom of the soul.

The imprisonment in freedom,
causes this poetic whole.

'Poetic justice' they call it,
suffering at the hands of freedom.

The romanticism is unmatched,
in life, in this un-free kingdom.

Oxymorons are plenty,
but they are also necessary,
for that is the graveyard,
in which we, and our 'free' souls, are buried.

Tere aansuon se bekhabar

yun to main chal bhi deta,
tere aansuon se bekhabar.

par dhadkanon ki bewafai thi aisi,
tham gayeen us waqt waheen.

gira tha mein, batlaya gaya hai mujhe,
utha tha mein, daras hue the allah ke,
in nasamjhon ko kaise samjhayen

khel hai zubaani,
mohabbat ko bayaan karne ka,
bewafa zubaan thi meri,
haan ko na keh diya.

yun to main chal bhi deta,
tere aansuon se bekhabar.

Yakeen

ye dhoka hi to hai jis par yakeen hai hamein,
ki hamaare yakeen ko dhoka haasil hoga zaroor,
ki mohabbat phir hogi hamein,
or phir mohabbat ko rusvaai haasil hogi zaroor...