kabhi kehte hain unhone jaan leli meri,
poocho unse wo kaun hai to kehte hain zindaa hoon main abhi.
Shayad aise hi chalte jaana hai
zindagi jeene ka jitna man hai,
utna hi use chodne ka
muskurane ka jitna man hai,
utna hi rone ka
zamaane se jitne khafa hain hum,
utna hi use chahte bhi hain
jitna thaamne ki koshish karte hain khud ko,
utna hi chalte jaate bhi hain
zamaane pehle kuch hua tha,
hote gaya tha
kuch aisa rukh liya zindagi ne,
ki zindagi se hi door kar diya
jeetne mein maza aata tha,
ab haarne mein aata hai
mann manchala sa hota hai,
phir sudhar bhi jaata hai
bas chalte jaa rahe hain,
dariya ke bahav mein,
shayad aise hi chalte jana hai :)
gamon mein muskura ke samajhte hain wo...
ki aankhen unki koi padh nahi raha...
unhe kya pata ki unka raaz ab raaz nahi raha...
kyunki koi baitha unki aakhon mein jhaank raha hai
(in response to:
Baat dil ki bata dena aadat hai meri,
Bus yun hi muskra dena aadat hai meri,
Log samajtey hai mujhe koi gum nahi,
Kyunki har gum me muskra dena aadat hai meri .)